Introduction of voter id
Voter id kisi bhi aadmi ki identity hai. Iske hi dwara hm kisi aadmi ko pehchan pate hai. Iska use 18 sal ya isse upar ke aadmi karte hai. Iska use log mainly voting ke lia karte hai. Yah sabhi logo ki ek hi hoti hai. Agar kisi ke pas do ya isse adhik hoti hai to ise illegal mana jata hai. India me lagbhag 8.5 crore logo ke pas voter id card hai. Bihar me bhut hi jyada aabadi hai, isilia yha pe logo ki voter id card ki sankhya bhi bhut jyada hai. yaha Bihar me 40 parlimentry seats hai, aur 243 assembly me seat hai.
India democratic country hai. yaha pe aabadi bhi bhut jyada hai, isilia voting me kaphi dikkte bhi aati rhti hai phir bhi voting democratic trike se ho jati hai.
How to apply voter id online in bihar
Aaj voter id ka apply bhut hi aasani se kiya ja sakta. Hmlog bhut hi aasani se aur do trike se voter id ke liye apply kar sakte hai ye do trike hai
online aur offline aaj hm aapko dono triko ke bare me batanewale hai. Sabse pahle hm aapko online apply ke bare me batane ja rhe hai.
Niche ke kuchh steps ko dekhkar hm aasani se
online votor id ko apply karna sikh sakte hai.
- Sabse phle hm chief electoral officer,bihar ke website pe jayenge. Aur waha pe hum "citizen service/online registratoin" pe click karenge phir hmara ek nya tab khulega
- Phir hm un sabhi listo me se new registration pe click karenge
- Hm yaha pe apne sare jaruri ke details ko box me dalenge jaisa screen pe dikhaya gya hai jaise ki apna nam, pata,mobile number,email addres,aur bhi jankari ko bharne baad register pe click karenge
- Register pe click karne ke bad hme ek code milega. phir hum use sign in kar payenge. Aur online form ke lia taiyar bhi ho payenge
- Phir hum sign in karne ke bad online form fill karna chalu karenge. Hum yaha pe save pe click karke form ko bad me bhi fill kar sakte hai.
- Phir jb hum sare ke sare details ko fill kar denge aur sare documents ko bhi upload kar denge dia hua boxes me Ex-(age proof,address proof, etc) phir hum submit pe click kar denge
- Submit karne ke bad, ek reference number generate hoga, jiska use apne application ke status ka pata lagane ke lia kar sakte hai
- Ye sare process ko jab hum kar lenge to ek booth level officer(BLO) hmare ghar pe sare details ko verify karne ke lia aayenge
- Agar hmari verification sahi hua to form me dia hua pate pe hamara voter id card pahuch jayega
How to apply voter id card offline in bihar
Hum bihar me bahut hi aasani tarike se offline voter id ke liye apply kar sakte hai isme hme kuchh hi simle se kam karne honge aur yah online se achha bhi hai
Jab hum online voter id ke lia apply karte hai to us time hum apply offline pe click karke hum offline bhi apply kar sakte hai.
Niche ke kuchh steps ko hum follow kar ke hum apply kar sakte hai
- Hum sabse phle apne pas wale electoral office me jayenge. Hum waha pe form 6 lenge nye voter id ke registration ke lia
- Forum me diye hua sare details ke bharenge jo jaruri hai. Aur jitne bhi documents ki jarurt hogi un sare ki xerox copy bhi attach karenge. Jaise ki age proof,residental proof,photagraphs
- Sare documents aur form ko hum submit kar denge. Hme ek reference ID milega jisse hum apne application ke status ki jankari lete rahenge
- Total document ko submit karne bad booth level officer(BLO) sare details ko verify karne ke lia aayenge
- Verify ho jane ke bad hame ek voter id card milega post se ya usi aadmi se
Total documents of submitted
Niche sare documents diye hua hai jinko hme submit karna hai. Hum sare documents ki photo copy ko submit karenge
- Address ka proof(ration card/aadhar card/passport/pan card/driver licence)
- Age ka proof(birth certificate/passport/aadhar card/licence)
- Hal hi ke passport size photograph
How to trace status of voter id card in bihar
Apne status ke tracking ke liye hum diye hua website
( http://electoralsearch.in/) Pe jakar pata kar sakte hai
Apna status janne ke liye kuchh jankari honi chahia jo ki neeche di hui hai
- Apne details se status kaise pata kare
- Apna nam, papa ka nam, apna age or date of birth, gender,district,state, isse aap apna status jan sakte hai
2. Aap apne epic number se bhi status pata kar sakte hai
- Aap apna epic number aur apna state select karenge aur aapko apne status ka pta chal jayega
- Phir aap captha code ko dalenge to aapko apna status aasani se pata chal jayega
How to Track voter id from sms in bihar
Apne votor id ka status hum sms se aasani se pata kar sakte hai hum iske lia sabse pahle hm sms karenge 56677 par. Aur isme apna elevoter id number bhi dal denge
How to contact voter officer by calling
- Hum ECI helpline number 1950 pe call kar bhi status jan sakte hai wo bhi bilkul free me
- Yah subidha 10am to 5pm tak rahti hai
How to apply duplicate voter id card online in bihar
Voter id card bahut hi useful hota hai isse hme bhut sare kam hote hai. Issehi hamari pahchan hoti hai. Isse hi to hum voting kar pate hai yah bhut sare forum dalne ke samay bhi bhut kam aata hai yah bhua hi hi jarurat ka card hai.
Man lijia agar aapka card kahi kho gya hai to aap bhut nirash ho jayenge lekin nirash hone ki koi bat nahi kyoki hum dobara voter id keliye apply kar sakte hai
Niche kuchh points me bataya gaya hai ki hum kaise apply karenge duplicate voter id ke liye
Hum sabse pahle ek form download karenge jiska nam hai EPIC-002, yah duplicate voter id ke apply karne ke liye forum hai
- Isme jo bhi information bharna rahega use hum bhar lenge jaise ki naam,pata, etc
- Hum khoye hua voter id par kia gye FIR ki ek copy bhi attach kar denge forum ke sath
- Phir hum forum ko supporting document ke sath electoral office jama kar denge
- Ye sare process kar lene ke bad hmara application verify hoga
Verify ho jane ke bad hmara duplicate voter id card ban kar taiyar ho jayega
How to apply for duplicate voter id card offline in bihar
Agar kisi ka voter id kho gya hai to pareshan hone wali koi bat nhi hai kyoki election commuty ne offline yah subidha de rakhi duplicate voter id apply karne ke liye
- Kahi aapka voter id kahi kho gay hai
- Agar kahi aapka voter id kisi jagah par rakh ke aap bhool gaye ho
- Agar aapka voter id use karne layak nahi bacha hua hai
Aisi sthiti me hum sabse pahle FIR karenge kisi apne najdiki police station me. Phir hum FIR wale copy ko duplicate card apply karne ke samay use karenge
Niche diya hua hai hum kis tarah se offline apply karenge
- Sabse pahle hum electoral office jayenge waha pe hum EPIC-002 lenge
- Phir hum forum ko fill karenge details dal kar aur supporting documents bhi denge jo jo forum me bataya gaya ho.
- Agar hmara voter id card kahi kho gya hai ya koi chura liya hai iske lia ek FIR ki copy bhi hum attach kar denge
- Phir hum forum aur sare documents ko electoral office me submit kar denge.
- Application submit kar dene ke bad hmare application ki jach hogi
- Agar hmara application verify ho jayega to hme duplicate voter id card mil jayega.
How to corrections in a voter id card online in bihar
Agar hmare voter id card me kahi galti ho gayi hai. Jaise ki hmare nam ki spelling galti hai. Ya phir hmare date of birth aur address me bhi galti ho gayi hai.
To phir hme is tarah se thik kar leni chahia jaisa ki neeche ke points me dikhaya gya hai
- Sabse pahle hum chief electoral officer ke national voters service portal option pe click karenge
- Electoral roll me hum corrections of entries pe click karenge
- Phir hum forum ke details ko fill karenge jo jo puchhega un sari details ko dal denge
- Agar hum apna address change karenge ya phir usme diye hua supporing documents ko change karenge to usi pe hum click karenge
- Phir apne details ko bharenge, aur supporting documents ko upload kar dene ke bad hum forum ko submit kar denge
- Ek reference number generate ho jayega jiski madad se hum apna status track kar sakte hai
- Jab hamara application verify ho jayega, aur process succesful ho jayega to hume ek corrected voter id card milega
How to correction of voter id card offline in bihar
Agar hume notice milta hai kihumare voter id card me kuchh galtiya hai to hum us galti ko thik karne ke liye ek application submit kar denge. Yah bahut hi jaruri hota hai ki hamari iddentity achhe tarah se verify ho jana chahia.
Yah process kuchh hi simple se steps se ho jata hai. Jo ki neeche ke steps me diya hua hai
- Sabse pahle to hum election officer ke office me jayenge
- Aur hum form 8 ki copy ko collect kar lenge
- Sare ke sare information ko bhar denge aur documents ko bhi attach kar denge jisko change karwana hai
- Phir uske bad hum apne form ko submit kar denge
- Uske bad ek reffrence number generate hoga jiski madad se hum apna status ko track karte rahenge
- Phir jab hamara information verify ho jayega to hume updated voter id card mil jayega,
How to change address in a voter id card online in bihar
Agar humare voter id ke address ko change karna hai to hum sabse pahle application submit karenge aur apne current address ko update bhi kar lenge
Aisa karne se hamara nam aur baki details current address se jur jayega aur hum dusra voter id card us jagah se nhi banwa sakte
Bihar me hum online aur offline dono tarike se address ko change kar sakte hai.
Neeche ke points me diya hai ki hum kis tarah se online apne address ko updated kar sakte hai
- Sabse pahle hum chief electoral officer ke website pe jayenge.
- Phir hum national voter service portal ke homepage pe jayenge.
- Electoral roll me hum correction of entries pe click kar lenge jaha pe yah option provide hoga
- Phir hum yha pe form 8A me entry dalenge
- Hume ek online form screen pe dikhega jisme hum sare details ko bhar denge
- Forum ko bhar dene ke bad isko hum submit kar denge.
- Phir ek id reference generate ho jayega jiski madad se hum apna status ko track kar sakte hai,
- Application ke submit kar dene ke bad electoral office ke dwara verify kiya jayega
- Agar verification succesful ho gya to hume ek updated voter id card mil jayega
How to change address in voter id card offline in bihar
Agar aapne apna rahne ka jagah badal liya hai to yah jaruri hota hai ki aap voter id ke address ko bhi update kar le. Isse hamari iddentity ko aur address ko bhi proof mil jata hai.
Iski madad se hmare nam aur sari jankari ko dusre jagah update kar diya jata hai
Neeche ke proces me bataya gaya hai ki hum kis tarah se offline address ko change kar denge
- Sabse pahle to hum electoral office me jayenge aur hum form 8A ki copy ko collect kar lenge
- Hum form me diye hua sare details ko bhar denge
- Phir hum sare documents ko bhi attach kar denge jo bhi required hogi,
- Form ko submit kar dene ke bad hume ek reference number milega jiski madad se hum apne application ka online status ka pata karte rahenge
- Jab hamara application succesfully verify ho jayega
- To hume ek updated voter id card milege