Tuesday, 11 April 2017

how to apply for caste,income and residental certificate by mobile in bihar check status


INTRODUCTION OF CASTE CERTIFICATE
caste certificate se hum kisi aadmi ki jati ka pata laga pate hai. iske hi madad se hum kisi ki category ka bhi pata laga pate hai. yah kisi naukri ya form ke bharne ke samay kaphi jaroori hota hai. caste ko four category me bata gaya hai india level par,aur bihar level par five category me bata gaya hai. jo is tarah se hai

  • GENERAL
  • OBC II
  • OBC I
  • SC
  • ST
iski madad se hum kisi bhi category ka pata laga pate hai aur us category ke logo ko sari subidha mil pati hai. jo government ke taraph se milti hai. iski madad se hi pichhre logo ko sari subidha mil pati hai.

INTRODUCTION OF INCOME CERTIFICATE
income certificate se hum kisi ka income pata kar pate hai. iska jarurat kisi naukri ya form bharne ke samay jarurat hota hai. isko apply karne ke samay hume income ka pata hona jaruri hota hai.
iska jaroorat kisi ko finacial help ke liye hoti hai.

INTRODUCTION OF RESIDENTAL CERTIFICATE
residental certificate ke madad se hum kisi bhi aadmni ke bare me pata laga pate hai ki kaha rahte hai. yah bhi kisi form ya naukari ke apply karne ke liye bahut jaroory hota hai. yah kisi bhi aadmi ke iddentification ke liye bhi bahut jaroory hota hai.

HOW TO APPLY ONLINE CASTE, INCOME AND RESIDENTAL CERTIFICATE THROGH MOBILE
caste income aur residental tino ke apply karne ka tarika ek hi hota hai.
niche ke steps me bataya gaya hai ki hum kis tarah se mobile me hi caste income aur residental ke liye apply karna sikh sakte hai. aur apply bhi kar sakte hai.

  • sabse pahle hum apne mobile ko browser me jayenge
  • phir apne browser me google pejayenge
  • apne google ke search box me hum RTPS search karte hai.
  • uske bad iske first page pe jate hai.
  • uske bad ek naya page khulta hai.
  • is naye page me APPLY ONLINE pe click karte hai.
  • uske bad ek naya interface aayega jisme term and conditions ko select kar lenge.
  • phir hum jagah select karne ka option aayega jisme hum block select  karte hai.
  • uske bad ek naya page khulega jisme hume apna naam certifate(CASTE,INCOME,RESIDENTAL ETC.) aur mobile number select karte hai.
  • phir humare number pe verification ke liye OTP code aata hai.
  • phir hamara ek naya page khulta hai is page me hume apni sari details ko bharna hota hai 
  • uske bad ise hum submit kar dete hai.
  • phir hamara kam complete ho jata hai. aur 10din ke bad block me jakar hum aadhar card jama kar dete hai
  • uske 10 din ke hmara certificate bankar taiyar ho jata hai.

HOW TO CHECK STATUS OF APPLICATION(CASTE,INCOME,RESIDENTAL CERTIFICATES)
hum sabse pahle iske website RTPS pe jate hai aur ispe jakar check status pe click kar dete hai.isme hum apna 18 digit ka unique application id dal kar search pe press kar ete hai. phir hume apne application ka status pata chal jata hai aur aage ka process kar pate hai.

HOW TO CHECK APPLICATION STATUS THROUGH SMS
hum apne application ka status sms ke madad se bhi jan sakte hai. hum apne mobile ke sms weale me jakar RTPS<APPLICATION ID> dalkar ise hum 56677 pe bhej dete hai. aur humare status ka pata bahut hi aasani se pata chal jata hai.

HAMARE IS POST KO SHARE KARNA MAT BHULE.
PLEASE SHARE THIS POST

No comments:

Post a Comment